Friday, May 28, 2021

The Lost One




Bechaini to jaise humsafar hai bani,
Na jane kis khoj me, ye mann ghum hai kahi,
Chal rahi hai raahe chalte hai hum bhi yuhi,
Phir bhi khatakti hai jaise us ek manzil ki kami.

Socha puchlu sath chalte raahgiro se
Kya tumko bhi hua mehsus yahi?
Aur wo jo pohoch chuke hai zindagi ki haseen ateem padav tak
Kaise suljhegi ye uljan
Jara hume bhi batao to sahi!!

Bas ab arzoo ye hai ki,

Mil jaye wo agar jo, ek laksh jeevan ka kahi,
Theher jaye toofan, bas jaye firse wo jo barso se ujdhi hai zameen.

5 comments:

Teri Aadat

Haa...Intezaar aaj bhi rehta hai tera, Par... Isbaar dil ko aadat nahi lagne di hai teri. Jo wakt kabhi gujarta tha tere khwab sajane me, Ab...