Saturday, June 27, 2020

Azadi Ka Daur


Ek daur wo tha Azadi Ka...

Azad thi sadke, Azad Mohalle,
Kahi nukkad ke dukan wali kulhad ki chai,
Kahi Chatkhare lete chaurahe ke dahi bhalle,
Kabhi befikar si Unplanned wali Road Trip,
Kabhi anjane se safar pe chal dete aivai Kalle,

Ek daur wo tha azadi ka.....

Jab thi mutthi me khwahishe,
Tab Zimmedaariyo me lamhe bitaye,
Ab jab muddato baad mutthi khuli,
To khwahishe azaadi na paaye.

Wakt ka pahiya fir dohrana hai,
Jo galtiya karnese katrate rahe..
Unhe dilse apnana hai,
Kuch fir khona hai, kuch fir paana hai,

Azadi ka wo daur fir laana hai....

This pandemic has taught us many things and given a chance to start a new.
So, let's give ourselves a second chance and live the life, the way it is really meant for.
Stay Safe. Stay Healthy. 😊

Monday, June 15, 2020

Chotasa Khwab Zindagi


Ek chotasa khwab hi to hai zindagi,

Pal bharme zindagi bharki khushiyan sametne ka khwab,
Chotisi hatheli me laakho duaye batorne ka khwab,

Ek humsafar se taa-umra ke sath ka khwab,
Ek aulaad se budhape ke sahare ka khwab,

In saare khwabo ko jine ki chah hi to hai zindagi,
Kuch pura hota kuch adhoora sa,
Ek khwab hi to hai zindagi.

In khwabo ke piche daudte hue saari umra gawa di,
Aur Zindagi kehti rahi "Tumne mujhe Tabbajjo (Importance) hi kaha di."
Live your life in present. 🙂

Teri Aadat

Haa...Intezaar aaj bhi rehta hai tera, Par... Isbaar dil ko aadat nahi lagne di hai teri. Jo wakt kabhi gujarta tha tere khwab sajane me, Ab...