Sath na hokar bhi sath nibhana tum,
Ya.. Mumbai ki us bin mausum barsaat ki tarah,
Chehre par... halki...Cheete gira jana tum,
Yuhi chalte chalte, Raah gujarte,
Kabhi Bin bulaye aa jana tum."
"Rahu jab neend ke aaghosh me mai,
Thapkiya Dekar....matha sehla jana tum,
Aankho ki mayusi yu padhlena ki...
Anjaan rahu mai, aur dil behla jana tum,
Wakt ka tumhare...andaza hai mujhko,
Wakt ka...tumhare...andaza hai mujhko,
Fir bhi wakt nikalkar yaadein de jana tum,
Beshak ruk na Pao zada der....kisi pighalti barf ki tarah, magar
Bas... kabhi bin bulaye aa jana tum."
"Zid agar karu kabhi...chote bache ki tarah tumse hath chudhakar azadi paane ki,
Ek fikra karne wali maa ki tarah
Hath aur kas kar pakad lena tum,
Ho jaye kabhi jo ruaasi aankhen meri,
Halke se kandhe sir rakh lena tum."
Fir bhi wakt nikalkar yaadein de jana tum,
Beshak ruk na Pao zada der....kisi pighalti barf ki tarah, magar
Bas... kabhi bin bulaye aa jana tum."
"Zid agar karu kabhi...chote bache ki tarah tumse hath chudhakar azadi paane ki,
Ek fikra karne wali maa ki tarah
Hath aur kas kar pakad lena tum,
Ho jaye kabhi jo ruaasi aankhen meri,
Halke se kandhe sir rakh lena tum."
"Kabhi ruko kisi mod par jisme..... ek raah mere ghar ki ho,
Dheeme dheeme... hichkichate hi sahi... Kadam jarur badhana tum,
Yuhi chalte chalte, raah gujarte,
Kabhi bin bulaye aa jana tum.